Thursday, December 3, 2009

Nafrat

Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.

Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.

Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.

Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.

Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa…

khaamosh

“do chaar lafz kahake mai.n Khaamosh ho gayaa,
vo muskuraa ke bole bahut bolate ho tum..”

Mamma Mamma

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain
Yeh to unke bache hee kamine hain,
Jo Mamma-Mamma bulaate hain.
—————————————
Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aur humare dil se awaaz nikalii….
Santa Singh…Tusin Ethe vii aa gaye !!!
—————————————
Yeh jo haseeno ke baal hote hai,
ladko ko fasaane ke jaal hote hai,
na jaane kitno ke khoon piye honge inhone,
tabhi to inke honth laal hote hai
—————————————
Apni Surat ka kabhi to didaar de
tadap raha hu kabhi to apna pyaar de
Apni awaaz nahi sunani to mat suna
Kam se kam 1 Missed call hee maar de

mohabat


Tumhari is ada ka kya jawab du,
Apne dost ko kya uphar du,
Koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
Jo khud gulab hai usko kya gulab du…

Rab ne jab tujhe banaya hoga
Ek surur uske dil mein aya hoga,
Sochta hoga kya doonga tohfe mein tujhe,
Tab usne mujhe banaya hoga.

Kaash ham SMS hote,
Ek click mein tumhare paas hote,
Bhale tum hame delete kar dete,
Par kuch pal ke liye ham tumhara ehsas to hote…!

Tanhaion me unko hi yaad karte hain,
Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai,
Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai,
Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.

Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.

Har phool ki ajab kahani hai,
chup rehna bhi pyar ki nishani hai,
kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,
lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai

Kismat par aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majburian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai

Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,
Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,
Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,
Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.

darte hai aag se kahi jal na jaye
darte hai khwab se kahin toot na jaye
lekin sabse ziyada darte hai aapse
kahin aap hume bhool na jaye..